“Yad Unki Ai, Rouza Tasawur Mein Aa Gaya, Kitna Hu Khush Naseeb Ke Qadmo’n Mein Aa Gaya” is written by by Inam Ul Haq Masoom Sabri. Lyrics of Yad Unki Ai in Urdu Language (Urdu Likhai Lyrics) and in Roman Urdu / Hindi along with Words Meanings and Nasri Translation are as follow:
Words Meanings – Yad Unki Ai
Word | Meaning |
---|---|
خوش نصیب | خوش قمست |
Khush Naseeb | Khush Qismat |
قدموں میں آ گیا | خدمت گار بن گیا، غلام بن گیا، قربت میں آ گیا |
Qadmo’n Mein Aa Gaya | Khidmat Gar Ban Gaya, Ghulam Ban Gaya, Qurbat Mein Aa Gaya |
مقدر جگا گیا | قسمت نکھر گئی، نصیب روشن ہو گئے |
Muqaddar Jaga Gaya | Qismat Nikhar Gai, Naseeb Roshan Ho Gaye |
دل میں سما گیا | ہر وقت اُس کا خیال رہتا ہے |
Dil Mein Sama Gaya | Har Waqt Usi Ka Khyal Rehta Hai |
منظر | سماں، نظارہ |
Manzar | Samaa’n, Nazara |
آنکھوں کو بھا گیا | پسند آ گیا، محبوب ہو گیا |
Ankho’n Ko Bha Gaya | Pasand Aa Gaya, Mehbub Ho Gaya |
تصور | خیال |
Tasawur | Khayal |
جوت | اُجالا، تجلی، روشنی |
Jot | Ujala, Tajjali, Roshni |
آس | امید |
Aas | Umeed |
ذوق | شوق، رغبت، دلچسپی |
Zouq | Shoq, Raghbat, Dilchaspi |

Also Read: Rehmat Ka Hai Darwaza Khula with Lyrics
Yad Unki Ai Urdu / Roman Lyrics
1st Set of Verses
کتنا ہوں خوش نصیب کہ قدموں میں آ گیا
Kitna Hu Khush Naseeb Ke Qadmo’n Mein Aa Gaya
آقاﷺ سے عشق میرا مقدر جگا گیا
AAQA ﷺ Se Ishq Mera Muqadar Jaga Gaya
ﷺ
نثری آزاد ترجمہ
مدینے حاضری بے شک اپنے نصیب پر رشک کرنے لائق ہے. شاعر کہتا ہے کہ میں کتنا خوش نصیب ہوں کہ مجھے آقا کے در کی حاضری اور غلامی نصیب ہوئی ہے ۔ آقا ﷺ سے عشق میرا مقدر جگا گیا ہے۔ آپ ﷺ سے عشق ہی دراصل مقدر کے جاگنے کا سبب ہے۔ یہ خوش نصیبی کسی کسی کو ہی نصیب ہوتی ہے۔
Madinay hazri beshak apnay naseeb par rashk karnay laiq hai. Shair “Yad Unki Ai” mein kehta hai ke main kitna khush naseeb hu ko mjhay Aaqa ﷺ ky dar ki hazri aur ghulami naseeb hui hai.Aaqa ﷺ se ishq mera muqaddar jaga gaya hai. Aap ﷺ se ishq he darasl muqaddar ke jagnay ka sabab hai. Yeh khush naseebi kisi kisi ko he naseeb hoti hai.
2nd Set of Verses
طیبہ حضورﷺ کا مرے دل میں سما گیا
Tayyaba Huzoor Ka Mere Dil Mein Sama Gaya
منظر حسین روضے کا آنکھوں کو بھا گیا
Manzar Haseen Rouzay Ka Ankho’n Ko Bhaa Gaya
ﷺ
نثری آزاد ترجمہ
نبی کریم ﷺ کا شہر ہے ہی ایسا کہ جو بھی اس مبارک شہر کا نظارہ کرتا ہے اس پر دل ہار بیٹھتا ہے ۔ روضے کا حسین منظرعاشقوں کے دل کی ٹھنڈک کا باعث ہے۔ وہاں مزارِ مصطفیٰ ﷺہے،جہاں صبح و شام ستر ستر ہزار فرشتے حاضر ہوتے ہیں۔ مدینہ شریف کی زیارت کے لیے لاکھوں عاشق تڑپتے ہیں۔
Nabi Kareem ﷺ ka sheshr hai he aisa ke jo bhi es mubarak shehr ka nazara karta hau es pe dil haar bethta hai. Rouzay ka haseen manzar aashiqon ke dil ki thandak ka baais hai. Wahan Mazar-e-Mustafa ﷺ hai jahan subah sham 70, 70 hazar farishtay haazir hotay hain. Madina Shareef ki zyarat ke liye lakhon aashiq taraptay hain.
جب کوئی مسلمان زیارت کی نیت سے مدینہ منورہ آتا ہے تو فرشتے رحمت کے تحفوں سے اس کا استقبال کرتے ہیں۔ (جذب القلوب،ص211)
Jab Musalman zyarat ki niat se Madina Munawara aata hai to farishtay rahmat ke tohfo’n se us ka istaqbal karte hain (Jazb-ul-Quloob 211)
3rd Set of Verses
دل کو سکون مل گیا آنکھیں چمک گئیں
Dil Ko Sukoon Mil Gaya, Ankhein Chamak Gaeen
یاد اُن کی آئی روضہ تصور میں آ گیا
Yad Unki Ai Rouza Tasawur Mein Aa Gaya
ﷺ
نثری آزاد ترجمہ
شاعر کہتا ہے کہ نبی کریم ﷺ کی یاد اور روضہ پاک کا تصور دل کے سکون اور آنکھوں کی چمک کا باعث ہے۔ مدینہ پاک وہ شہر ہے جس کی قسم رب تعالٰی نے پارہ30 سُوْرَۃُ الْبَلَد کی ابتدائی آیات میں کھائی ہے۔
ترجمۂ کنزُ الایمان : مجھے اِس شہر کی قسم کہ اے محبوب تم اِس شہر میں تشریف فرما ہو۔
Shaair “Yad Unki Ai” mein kehta hai ke Nabi Kareem ﷺ ki yaad aur rouza paak ka tasawur dil ke sukoon aur aankho’n ki chamak ka baais hai. Madina Pak woh shehr hai jis ki qasam Rab Ta’aala ne Para 30 Surah Balad ki ibtadai ayat main khai hai.
Tarjuma Kanzul Eman: Mujhay Es Shehr Ki Qasam Ke Ae Mehbub Tum Es Shehr Mein Tashreef Farma Ho.
4th Set of Verses
سرکار ﷺ کے مدینے کا مہمان جب بنا
Sarkar ﷺ Ke Madinay Ka Mehman Jab Bana
محسوس یوں ہوا کہ میں جنت میں آ گیا
Mehsoos Yu’n Hua Ke Mein Jaanat Mein Aa Gaya
ﷺ
نثری آزاد ترجمہ
جہاں روضہ پاک خیر الورٰیﷺ ہے
Jahan Roza-e-Paak Khairul Waraa ﷺ Hai
وہ جنت نہیں ہے تو پھر اور کیا ہے
Woh Jannat Nahi Hai To Phir Aur Kya Hai
مدینہ شریف عاشقوں کی جنت ہے۔ اس سے مراد حقیقی جنت نہیں ہے۔ یہ مدینہ سے محبت رکھنے والوں کا انوکھا انداز ہے اور شعراء کے لیے استعارہ ہے۔
Madina Shareef aashiqo’n ki jannat hai. Es se muraad haqeeqi jannat nahi. Yeh Madina se mohabbat rakhne walo’n ka anokha andaaz hai aur shoraa ke liye esteaara hai.
کوئی جائے گا دوزخ کو ، کوئی جنّت میں پہنچے گا
Koi Jaye Ga Dozakh, Koi Jannat Mein Pohnchay Ga
مدینے کی طرف دوڑے گا دِیوانہ مُحَمَّد کا
Madinay Ki Taraf Douray Ga Deewana Muhammad Ka
Also Read: Akhi Sohne Nu Hawaye Ni – Top Trending
5th Set of Verses
واپس جو آیا شہر سے عاشق ہے لوٹ کر
Wapas Jo Aya Shehar Se Aashiq Hai Lout Kar
وہ جوت آس کی مرے دل میں لگا گیا
Woh Jot Aas Ki Mere Dil Mein Laga Gaya
ﷺ
نثری آزاد ترجمہ
عشاق جب مدینے شریف کی زیارت سے واپس اپنے وطن لوٹتے ہیں تو مدینہ شریف کی باتیں کر کے خود کو تسکین دیتے ہیں کیونکہ مدینے شریف سے جدائی اُن پہ گراں ہوتی ہے۔ عاشق اپنے محبوب کا ذکر مسلسل کر تا ہے۔ جب عاشق مدینہ شریف کے باتیں کرتے ہیں تو دوسرے عشاق کی مدینہ شریف کی حاضری کی چاہ اور امید مزید بڑھ جاتی ہے۔
Ushaaq jab Madina Shareef ki zyarat se wapas apne watan lout,te hain tw Madina Sharif ki batain kar ke khud ko taskeen detay hain kyonke Madina Sharif ki judai un pe giraa’n hoti hai. Aashiq apne mehboob ka zikr-e-musalsal karta hai. Jab aashiq Madina Sharif ki batain kartay hain to doosray ushaq ki Madina Sharif ki hazri ki chaah aur umid mazeed barh jati hai.
6th Set of Verses
رمضان آ گیا ہے لۓ ساتھ بر کتیں
Ramzan Aa Gaya Hai Liye Sath Barkatein
بادل بھی رحمتوں کا گھروں پر ہے چھا گیا
Badal Bhi Rahmato’n Ka Gharo’n Par Hai Chhaa Gaya
ﷺ
نثری آزاد ترجمہ
رمضان شریف رحمتوں اور برکتوں کا مہینہ ہے۔ اس مہینہ میں رب تعالٰی کی رحمتوں کا سمندر ٹھاٹھیں مارتا ہے۔ شاعر اسی حوالے سے رمضان کی آمد کا اعلان اور خوشی کا اظہار کر رہا ہے جس کے سبب اُس کے گھر پر بھی رحمتوں کا نزول ہوا ہے۔
Ramzan Shareef rahmato’n aur barkato’n ka maheena hai. Es mahina mein Rab Ta’aala ki rahmto’n ka samadar thathain marta hai. Shair es hawalay se ramzan ki aamad ka ailan aur khushi ka izhaar karta hai jis ke sabab us ke ghar par bhi rahmato’n ka nazool hua hai.
7th Set of Verses
اتنا کرم ہے خاص کہ کہتے ہیں لوگ سب
Itna Karam Hai Khas Ke Kehte Hain Log Sab
معصومؔ ذوق سے ہمیں نعتیں سنا گیا
Masoom Zouq Se Hamein Naatein Suna Gaya
ﷺ
نثری آزاد ترجمہ
بے شک نبی کریم ﷺ کی ثناخوانی ایک عظیم نعمت ہے جو ہر کسی کو حاصل نہیں ہوتی اور اس نعمت کے حاصل ہونے پر فخر، شکر اور خوشی کا اظہار کرنا تو بنتا ہے۔اور شاعر اسی نعمت پہ شکر اور خوشی کا اظہار کر رہا ہے۔ نعت خوانی نثری بھی ہوتی ہے، شعری بھی ، تلاوتی بھی اور عملی بھی (عمل/حلیہ سے)۔ اللہ تعالٰی ہمیں بھی یہ نعمت عطا کرے۔ آمین۔
Beshak Nabi Kareem ﷺ ki sana khawani aik azeem naimat hai jo har kisi ko hasil nahi hoti. Aur es naimat ke hasil hone par fakhar, shukar aur khushi ka izhar karna to banta hai. Aur shair esi naimat pe shukar aur khushi ka izhaar kar raha hai. Naat khawani nasri bhi hoti hai, shairi bhi, tilawati bhi aur amli bhi (amal / hulia se). ALLAH Ta’aala hamain bhi yeh naimat ataa karay. Aamin
ﷺﷺﷺ