“Izaten Huzoor Ke Liye, Azmaten Huzoor Ke Liye” was written by Syed Tasaddaq Hussain Kazmi and recited by Qari Shahid Mahmood Qadri. Lyrics in Urdu Language and Roman Urdu / Hindi are as follows:
Table of Contents
Words Meanings – Izaten Huzoor Ke Liye
Word | Meaning |
---|---|
عظمتیں | قدر و منزلت، عزّت |
Azmaten | Qadr-o-Manzilat, Izzat |
رونقیں | زیبائش، زِینت، آرائش, عروج, دُھوم دھام |
Ronaqain | Zaibaish, Zeenat, Aaraish, Urooj, Dhoom Dhaam |
قادیان | قادیانی، نبی کریم ﷺ کو خاتم النببین نہ ماننے والے |
Qadiyan | Qadiani, Nabi Kareem ﷺ ko Khatm-un-Nabiyeen Na Man’ne Walay |
رفعتیں | عروج، منزلت، برتری، ترقی، عالی مرتبہ |
Rifatain | Urooj, Manzilat, Bartari, Taraqi, Aali Martaba |
Izaten Huzoor Ke Liye – Urdu / Roman Lyrics
1st Set of Verses
عزتیں حضور ﷺ کے لیے
Izaten Huzoor ﷺ Ke Liye
عظمتیں حضور ﷺ کے لیے
Azmaten Huzoor ﷺ Ke Liye
ﷺ
نعت گو شاعر نے بڑی محبت اور عقیدت سے کلام پاک لکھنے کی سعادت حاصل کی ہے۔ شاعر کہتا ہے کہ دو جہاں میں عزتیں اور عظمتیں حضور ﷺ کے لیے ہی ہیں۔ اور زمانے میں جس کو بھی عزت اور عظمت ملتی ہے یہ سب میرے حضور ﷺ کا ہی صدقہ ہے۔
Naat go shaair ne bari mohabbat aur aqeedat se kalam pak “Izaten Huzoor Ke Liye” likhne ki sa’aadat hasil ki hai. Shair kehta hai ke do jahaan ki izaten aur azmaten Huzoor ﷺ ke liye he hain. Aur zamanay main jis ko bhi izat aur azmat milti hai yeh sab mere Huzoor ﷺ ka he sadqa hai.
2nd Set of Verses
ہیں دو جہان میں لگی ہوئیں
Hain Do Jahan Main Lagi Hui
رونقیں حضور ﷺ کے لیے
Ronaqain Huzoor ﷺ Ke Liye
ﷺ
نعت گو شاعر نے بڑی محبت اور عقیدت سے کلام پاک لکھنے کی سعادت حاصل کی ہے۔ شاعر کہتا ہے ۔ جہان بھر میں جو رونقیں ہیں وہ صرف آپ کے دم قدم سے ہیں۔ جیسا کہ اعلٰی حضرت بھی فرماتے ہیں
وہ جو نہ تھے تو کچھ نہ تھا، وہ جو نہ ہوں تو کچھ نہ ہو
جان ہیں وہ جہان کی، جان ہے تو جہان ہے
Shair kehta hai ke jahan bhar main jo ronaqain hain woh sirf ap kay dam qadam se hain. Jaisa ke Aala Hazrat bhi farmatay hain:
Woh Jo Na Thay To Kuch Na Tha, Woh Ko Na Ho’n To Kuch Na Ho
Jaan Hain Woh Jahan Ki, Jaan Hai To Jahan Hai
3rd Set of Verses
عاشقوں کی ہیں سجی ہوئی
Aashiqo’n Ki Hain Saji Hui
محفلیں حضور ﷺ کے لیے
Mehflain Huzoor ﷺ Ke Liye
ﷺ
اللہ تعالٰی نے آپﷺ کا ذکر بلند فرمایا ہے اور دو جہانوں میں آپ ﷺ کے عاشق آپ ﷺ کے ذکر کی محفلیں سجاتے ہیں۔ یوں اس طرح اُنہیں بھی رفعتیں اور بلندیاں عطا ہوتی ہیں۔
ALLAH Ta’aala ne Aap ﷺ ka zikr buland farmaya hai aur do jahano’n mein Aap ﷺ ke aashiq aap ﷺ ke zikr ki mehfilain sajatay hain. Yu’n es tarah unhain bhi rifatain aur bulandiyan ataa hoti hain.
4th Set of Verses
جن سے دِل دھڑکتے ہیں وہ ہیں
Jin Se Dil Dharktay Hain Woh Hain
دھڑکنیں حضور ﷺ کے لیے
Dharkanain Huzoor ﷺ Ke Liye
ﷺ
آپ ﷺ کے عاشق دل کی ہر دھڑکن کے ساتھ آپ ﷺ کا ذکر کرتے اور آپﷺ پر درود بھیجتے ہیں۔ جس کے سبب اُن کے دل مطمئن ہیں۔
Aap ﷺ ke aashiq dil ki har dharkan ke sath Aap ﷺ ka zikr kartay aur Aap ﷺ par durood bhejtay hain. Jis ke sabab un ke dil mutmain hain.
4th Set of Verses
حل جو نہ ہوں، ہیں وہ کون سی
Hall Jo Na Ho’n, Hain Woh Kon Si
مشکلیں حضور ﷺ کے لیے
Mushkalain Huzoor ﷺ Ke Liye
ﷺ
اللہ تعالٰی نے آپ ﷺ کو خزانوں کی کنجیاں عطا کی ہیں اور آپ ﷺ کو مستجاب الدعوہ کی صفت عطا کی ہے اس لیے آپ ﷺ اپنی اُمت کے مشکل کشا بھی ہیں اور شافعی بھی۔
ALLAH Ta’aala ne Aap ﷺ ko khazano’n ki kunjiyan ataa ki hain aur Aap ﷺ ko mustajab-ud-dawah ki sift ataa ki hai es liye Aap ﷺ apni ummat ke mushkil kusha bhi hain aur shafi bhi.
5th Set of Verses
خود کو روز ہیں سنوارتی
Khud Ko Roz Hain Sanwarti
جنتیں حضور ﷺ کے لیے
Janatain Huzoor ﷺ Ke Liye
ﷺ
جیسا کہ دو جہاں کی تخلیق کی وجہ آپ ﷺ ہیں ، بندے تو جنتوں کے حصول کے لیے اپنے نفس سنوارتے ہیں لیکن آپ ﷺ کی ذات ایسی ہے کہ جنتیں آپ ﷺ کے لیے خود کو سنوارتی ہیں۔
Jaisa ko do jahan ki takhleeq ki waja Aap ﷺ hain, banday to janaton ke husool ke liye apne nafs sanwartay hain lekin Aap ﷺ ki zaat aisi hai ke janatain Aap ﷺ ke liye khud ko sanwarti hain.
6th Set of Verses
لعنتیں ہیں قادیان پر
Lanatain Hain Qadiyan Par
رفعتیں حضور ﷺ کے لیے
Rifatain Huzoor ﷺ Ke Liye
ﷺ
شاعر بڑے خوبصورت پیرائے میں ختم ِنبوت کے عقیدے کو بیان کر تے ہوئے قادیان پر لعنت کرتا ہے۔ یہاں شاعر آپ ﷺ کی رفعتوں اور قادیان پر لعنتوں کو ترازو کے دو پلڑوں میں رکھ رہا ہے۔ یعنی کہ آپ ﷺ کی رفعتوں کی کوئی حد نہیں تو اس لحاظ سے قادیانیوں پر لعنت کی بھی کوئی حد نہیں۔
Shair baray khubsurat pairaye main khatm-e-nabuwat ke aqeeday ko bian kartay huye qadiyan par lanat karta hai. Yahan shair Aap ﷺ ki rifato’n aur qadiyan par lanato’n ko tarazu ke do parlron mein rakh raha hai. Yani ke Aap ﷺ ki rifato’n ki koi had nahi tw es lehaz se qadiyano’n par lanat ki bhi koi had nahi.
7th Set of Verses
ؔہم نے تو ہیں رکھیں کاظمی
Hum Ne To Hain Rakhee’n Kazmi
یہ گردنیں حضور ﷺ کے لیے
Yeh Gardanain Huzoor ﷺ Ke Liye
ﷺ
ختم نبوت کے عقیدے کے بیان کے بعد اگلے ہی شعر میں شاعر عشاق کا آپ ﷺ پر نچھاور ہو جانا بیان فرما رہا ہے۔ اللہ تعالٰی شاعر کو دو جہان میں عزت عطا فرمائے۔ آمین
Khatm-e-nabuwat ke aqeeday ke bian ke bad aglay he shair main shaair ushaaq ka Aap ﷺ par nichhwar ho jana bian farma raha hai. ALLAH Ta’aala shair ko do jahan main izat ata farmaye. Aamin.
ﷺ ﷺ ﷺ
Also Read: Aankh Uthay Tere Liye

Also Read: Nabi Syed Ul Ambiya Ke Barabar Lyrics