Rab e Alam Ne Tujhko – Best Mairaj Kalam

“Rab e Alam Ne Tujhko Bulaya Wahan, Jis Jaga Par Kisi Ko Bulaya Nahi” is the best kalam of shab-e-mairaj. Lyrics in Urdu language and Roman Urdu are as under:-

Rab e Alam Ne Tujhko – Lyrics in Urdu Language

ربِ عالم نے تجھ کو بلایا وہاں
جس جگہ پر کسی کو بلایا نہیں
ایک جلوے نے موسٰی کو بے خود کیا
لامکاں پر بھی تو ڈگمگایا نہیں

اُن سے معراج کی شب یہ حق نے کہا
یوں تو پیارے ہیں مجھ کو سبھی انبیاء
مجھ کو تیری قسم تجھ سے پہلے یہاں
میرے محبوب کوئی بھی آیا نہیں

پاس اپنے بلانے کا تھا مدعا
تا کہ تیر ا بھی چل جائے سب کو پتہ
میرے نزدیک آ، میرے نزدیک آ
دیکھ تجھ سے تو کچھ بھی چھپایا نہیں

وقت رنگیں نظاروں میں ڈھلتا رہا
رہا بستر گرم، پانی چلتا رہا
امِ ہانی کھڑی تھیں مگر بے خبر
جیسے گھر میں تو کوئی بھی آیا نہیں

جس کی عرشِ معلٰی بنی راہ گزر
جو لٹاتا ہے انوار شام و سحر
اُن کو کیوں نہ سراپا ئے رحمت کہیں
جس نے دشمن کا دل بھی دکھایا نہیں

دو کریموں کی ناصر ملاقات ہے
کس قدر محترم شب معراج ہے
اتنا امت سے سرکار کو پیار ہے
لامکاں پر بھی ہم کو بھلایا نہیں
ﷺﷺﷺ

Rab e Alam Ne Tujhko – Lyrics in Roman Urdu

Rab e Aalam Ne Tujhko Bulaya Wahan

Jis Jaga Par Kisi Ko Bulaya Nahi

Aik Jalway Ne Musa Ko Be Khud Kiya

La Makan Par Bhi Tu Dagmagaya Nahi

Unse Mairaj Ki Shab Yeh Haq Ne Kaha

Yun Tw Pyaray Hain Mujhko Sabhi Anbiya

Mujhko Teri Qasam Tujhse Pehle Yahan

Mere Mehboob Koi Bhi Aaya Nahi

Pas Apne Bulanay Ka Tha Muddaaa

Ta Kay Tera Bhi Chal Jaye Sabko Pata

Mere Nazdik Aaa, Mere Nazdik Aa

Dekh Tujhse Tw Kuch Bhi Chhupaya Nahi

Waqt Rangeen Nazaron Main Dhalta Raha

Raha Bistar Garam, Pani Chalta Raha

Umm-e-Hani Khari Thin Magar Be Khabar

Jaisay Ghar Main Tw Koi Bhi Aya Nahi

Jis Ki Arsh e Moalla Bani Rah Guzar

Jo Lutata Hai Anwaar Sham o Sahar

Us Ko Kyon Na Sarapa e Rahmat Kahain

Jis Ne Dushman Ka Dil Bhi Dukhaya Nahi

Do Kareemon Ki Nasir Mulaqat Hai

Kis Qadar Mohtaram Shab e Mairaj Hai

Itna Ummat Se Sarkar Ko Pyar Hai

Lamakaan Par Bhi Hamko Bhulaya Nahi

ﷺﷺﷺ

Previous Article

Dilon Ki Dunia Basanay Wala - Too Beautiful Naat

Next Article

Kar Do Lillah Karam - Top Istighasa Lyrics

Write a Comment

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *